sau jaan se mahv-e-rukh-ejaana[premika ko dekhna] hain toh dam hai
iss aaiina khana[sheshe ka ghar] mein jo hairan hain toh hum hai
gulghist karen, phool chune, unnko hai kya gham
aawara-e-sehra-e-mugeelan[jungle mein bhadkne wale] apne hi dam se
soz-e-jigar-e-bulbul-e-naalan[preshan bulbul ke dil ka dard] hai toh hum hain
shor apne hi jalwe ka hai ye dair-o-harm[mandir-masjid] mein
maksud-e-dil-e-ghabro-0-mulmaan[pooja-ibadat karne wale] hain toh hum hain
ae bark[bijli] tadpne mein hum hain tere saathi
ae abr[badal] tere sath jo giryaab[rota hua] hain toh hum hain
din raat raqeebon pe hai shahib ki inayat
bas ek gham-e-hizar mein nalaan[pareshan] hain toh hum hai
No comments:
Post a Comment