kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de magar iss ke baad sahar na ho
vo bada rahimo-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhoolne ki dua karoon toh meri dua mein bhi asar na ho
mere bazoon mein thaki thaki abhi mahvekhwab[lost in dream] hai chandni
na uthe sitaron ki paalki abhi aahton ka guzar na ho
kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko choom ke
yun hi saath saath chalen sada, kabhi khatam apna safar na ho
No comments:
Post a Comment