Sunday, December 7, 2008

dekho kanha par aa gaya hai mod apni baat ka
ankh jhapkne lagi hai pichla pahar hai raat ka
hum jindgi ke khel se uth kar kabhi bhagay nahi
yun toh sada banta raha hai naksha hamari maat ka
dhadka kabhi dil bhi koi mana hamare vaste
hootho pe jo aaye nahi kiya mol hai uss baat ka
chup ho kar bhi baitho do ghadi hamare samne
ruk ruk ke jab paani gire tab hai maaza barsat ka
hargiz 'gulab' aise na woh lagte galay se aap ke
kuch aur hi jadoo houa hai iss dard ki saughat ka

No comments:

Post a Comment

wel come