Thursday, December 18, 2008

ek aisa ghar chahiye mujhko
jis ki fazaa mastana ho
ek kone mein ghazal ki mehfil
ek kone mein mehkhana ho

aisa ghar jis ke darwaze
bandh na ho insaano par
sheikh-o-baheman,rind-o-sharabi
sab ka aana jaana ho

ek takhti angoor ke paani se
likh kar dar par rakh do
iss ghar mein woh aaye jisko
subha talak na jaana ho

jo meh-khaar yahna aata hai
apna mehmaa hota hai
woh bazaar mein jaa ke pee lay
jisko daam chukana ho

“payasein hai”- honto se kehna
kitna hai aasaan “zafar”
muskil uss dam aati hai
jab ankho se samjhana ho

No comments:

Post a Comment

wel come