jo nazar pyar ki kah gai hai
muh pe laane ki baat nahi hai
hum suna toh rahe hai beshudi mein
woh sunane ki baat nahi hai
humne mana ki tum ho hamare
yaad karte rahoge hamesha
door zane ki baat hai par ye
paas aane ki baat nahi hai
zindgi kheench kar hum ko layi
ye kin sulagi bastion mein
hont hass rahien ho magar ab
muskorane ki baat nahi hai
No comments:
Post a Comment