Sunday, December 7, 2008

toota jo aake lab pe tera naam hi toh hai
dil mein bas ek khawahish-e-nakaam hi toh hai
pehla qadam hi akhri hai uth skay agar
manzil yaqeen-e-ishq ki ek gham hi toh hai
rehne do wapsi ke liye raasta khula
woh bad nahi hai ek zara badnam hi toh hai
sabit karega kya koi hum par jafa ka jurm
ek roz dhul hi jayega ilzaam hi toh hai

No comments:

Post a Comment

wel come