apna hissa shumaar karta thaa
mujhse itna woh pyar karta thaa
woh banata tha meri tasverien
unn se baate karta thaa
mera dukh bhi khuloos-e-niyet se
sach samjhta tha jhooth bhi mera
woh bohut mera aitbaar karta thaa
pehle rakhta thaa phool raste mein
phir mere aane ka intezaar karta thaa
aaj saath woh nahi 'Faraz'
jaan jo mujh pe nisaar karta thaa......
No comments:
Post a Comment