charcha-e-muhabat sar-e-aa'm ho na jaaye
tu mere naam se badnaam ho na jaaye
bura waqt phir zindgi mein aaya hai
apne aur gaiir ki pehchan ho na jaaye
ajnabi bankar tu iss kadar mila mujhse
gam aaz mujh par mehrbaan ho na jaaye
mehfil se utha mujhko magar ye dekh lena
mere baad teri mehfil veeran ho na jaaye
itna pyar na barsa mujh par mere kaatil
meri jaan lene wala meri jaan ho na jaaye
tujhe manane ki khatir khudko mita raha hun
meri yeh aakhri koshish bhi naakam ho na jaaye
usski masoom aankhein mujhko bula rahi hain
aadi aaj jaanwar se insan ho na jaaye
tu mere naam se badnam ho na jaaye
No comments:
Post a Comment