gaiir kya jaaniye kyun mujhko bura kehate hai
aap kehte hai jo aisa toh bajaa kehte hai
vaaqai tere iss andaz ko kya kehte hai
na vafaa kehte kehte hai jisko na jafaa kehte hai
ho jinhe shaq vo kare aur khudaao ki talaash
ham toh insaan ko duniya ka khuda kehte hai
teri surat nazar aai teri surat se alag
husn ko ahal-e-nazarhusn-numaa kehte hai
shikva-e-hizr kare kis dil se
hum khud apne ko bhi apne se juda kehte hai
teri rudaad-e-sitam ka hai bayan namumkin
fayda kya hai magar yun zara kehte hai
log jo kuch bhi kahe teri sitam-koshi ko
hum toh in baato ko achcha na bura kehte hai
auro ka tazurba jo kuch ho magar hum to 'firaq'
talkhi-e-zist ko jine ka maza kehte hai
No comments:
Post a Comment