Saturday, January 3, 2009

khatir se ya lihaaz se, main maan toh gaya
jhoothi kasam se aap ka imaan toh gaya
dil le ke muft kehte hai kuch kaam ka nahi
uthi shikayaten hain, ehsaan toh gaya
darta hun dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main
sunsaan ghar yeh kyun na ho, mehmaan toh gaya
kya aaye, raahat aayi jo kunj-e-mazaar mein
vo walwala, vo shaunq, vo armaan toh gaya
dekha hai butkade mein jo ai shaikh kuch na pooch
iimaan ki toh yeh hai, ke iman toh gaya
afshaa-e-raaz-e-ishq mein jo jilten hoi
lekin usse jataa toh diya, jaan toh gaya
jo naamabar se khush na huwa, par hazaar shukr
mujhko wo mere naam se pehchaan toh gaya
hosh-o-hawas-o-taab-tawaan daagh jaa chuke
ab hum bhi jaane waale hain, samaan toh gaya

No comments:

Post a Comment

wel come