main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
tum jahan pe baith ke jaate ho
main vahin pe baitha rehta hun
uss cheez ko choota rehta hun
main aisi muhabat karta hun
tum jis se hass ke milte ho
main ussko dost banata hun
tum jis raste par chalte ho
main uss se aata jaata hun
main aisi muhabat karta hun
tum jin ko dekhte rehte ho
vo khwab .. sarhane rakhta hun
tumse milne julne ke
kitne hi bahane rakhta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
kuch khwab saja kar ankhon mein
palkon se moti chunta hun
koi lams agar choo jaye toh
main pehron ussko sochta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
jin logo mein tum rehte ho
tum jinse baatein karte ho
jo tumko achche lagte hain
vo mujhko achche lagte hain
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
jis bagh mein subh ko jaate ho
jis sabze par tum chalte ho
jo shakh tumhen choo jaati hai
jo khusbho tumko bhaati hai
vo aos tumhare chehre par
jo qatra qatra girti hai
vo titli chod ke pholon ko
jo tumse milne aati hai
jo tumko choone aati hai
unn sabke nazuk jazbon mein
mere dil ki dhadkan basti hai
mere ruuh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya duur raho
nazron mein samaaye rehte ho
main tumko takta rehta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
har mauqe par har manzar mein
main saath tumhare rehta hun
main chasm-e-tassavur mein aksar
bas tumko dekhta rehta hun
bas tumko sochta rehta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
No comments:
Post a Comment