shukriya yun ada karta hai gila ho jaise
uss ka andaz-e-bayan sab se juda ho jaise
yun harik shakhs ko hasrat se takaa karta hun
meri pehchan ka koi na raha ho jaise
jindgi hum se bhi milne ko mili hai lekin
rah chalte huye saeel[fakeer] ki dua ho jaise
yun harik shakhs saraseema[उद्विग्न] nazar aata hai
har makaan shehr ka aashebzada[भूत-प्रेत ग्रसित] ho jaise
log haath ki lakeerein yun padha karte hain
innka har harf innhone hi likha ho jaise
vaasta deta hai vo shokh khuda ka hum ko
usske bhi dil mein abhi khoff-e-khuda ho jaise
iss tarah jeete hain iss daur mein darte darte
zindgi karna bhi ab ek khata ho jaise
No comments:
Post a Comment