puuchte ho toh suno kaise basar hoti hai
raat khariat ki sadqe ki sahar hoti hai
saans bhrane ko toh jeena nahi kahte ya rab
dil hi dukhta hai na ab aastin tar hoti hai
jaise jaagi hoi ankhon mein chube kaanch ke khwab
raat iss tarah diwano ki basar hoti hai
No comments:
Post a Comment