agarcha bazam mein dard-e-ashna bhi kehta hai
koi na ho toh mujhe vo bura bhi kehta hai
mere khuda usse jhutlao'on kis bahane se
vo ajnabi toh mujhe aashna bhi kehta hai
main uss ke doglay'pan se bohat hi aajiz hun
vo mujhse pyar ko,apni khata bhi kehta hai
hua hai apna taaruf ek aise mousam se
jo andhiyon ko kharaam-e-saba bhi kehta
nawar-daat ko keemat pe jinko baech sake
zamana aise buto'on ko khuda bhi kehta hai
'qateel' tu kabhi waaz ka aitbaar na karna
mazak se vo tujhe parsa bhi kehta hai
No comments:
Post a Comment