seene mein dhadkta ek chota sa dil hai
dil mein ek armaan rakha hai
armanon mein meri jindgi
tumhare pyar ke sahare
pyar ka naam phir jaan rakha hai
mehak jata hai jeven tere labon ki hassi ke saath
hassi mein jeene ka mukam rakha hai
mukam hasil hua jo aaye tum bahar ban kar
bahar ka naam phir jaan rakha hai
jaane kyun madhosh ho jaati hai
teri bahon mein aa kar
bahon mein teri nasha tamam rakha hai
nasha milta hai teri jheel si sharmai ankhon mein
ankhon ka naam phir jaam rakha hai
jism jab ban jaati hai ruuh, ruuh ko phir milta hai khuda
khuda tujhe .. humdam, khud ko ... insaan rakha hai
insan hun toh darr jata hun, soch kar tujhse judai ki baat
judai ka naam zindgi ki aakhri shaam rakha hai
No comments:
Post a Comment