Sunday, January 4, 2009

shamim ki shayyiri

bevafaa tere ruuth jaane se
aankh milti nahin zamaane se
aarizaa ho gaya hai rone ka
chand ghadiyon ke muskuraane se
kitne tuufaan uthenge saahil par
ek kashtii ke duub jaane se
dhuund aaya tujhe zamaane mein
tum kahaan gum ho ek zamaane se
ab toh duniya se ja rahaa huun main
laut aao issi bahaane se
kis qadar badh gayi hai lazzat-e-gham
shiddat-e-gham mein muskuraane se
daar hi ko gale lagaao “Shamim”
maut behtar hai sar jhukaane se

No comments:

Post a Comment

wel come