yaadon ko apne dil se mita kyu nhi dete
jo ja chuka hai ussko bhula kyu nahi dete
muzrim hun main tera mujhe itna toh bata
khamosh khade ho saza kyun nahi dete
usse jiske zakhm inayat teri
gar hai tumhare paas toh dawa kyu nahin dete
kahin ghar nahin baste hai jinnki wajah se
unn adhjali rasmon ko jala kyu nahin dete
ussne tumhari khatir kya kya nahi kiya
tum usski waffon ka sila kyu nahin dete
tumhein mujhse muhabat hai jaanta hun main
ye baat apne lab se bata kyu nahin dete
anmol khazana hain muskurahatein teri
thoda sa isse mujhpe luta kyu nahin dete
vo aag jo dil mein lagaai thi kabhi tumne
vo aag aaj khud hi bhujh kyu nahin dete
ek arsaa hua chain se soye huye
mera chaiin, meri neend lauta kyu nahin dete
No comments:
Post a Comment