zara si baat pe har rasm tod aaya tha
dil-e-tabaah ne bhi kya mizaaj paya tha
muaaf kar na saki meri zindgi mujhko
vo ek lamha ki main tujhse tang aaya tha
shagufta phool simatkar kali bani jaise
kuch is tarah se tuune badan churaya tha
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
abhi toh main usse pehchaan bhi na paaya tha
pataa nahi ki mere baad unn pe kya guzri
main chand khvaab zamaane mein chod aaya tha
No comments:
Post a Comment