aas hogi na aasra hoga
aane wale dinon mein kiya hoga
main tujhe bhool jaon ga ik din
waqt sab kuch badal chuka hoga
naam ham ne likha tha aankhon mein
aansuon ne mita diya hoga
aasmaan bhar gaya parindon se
pair koi hara gira hoga
kitna dushwaar tha safar us ka
wo sar-e-shaam so gaya hoga
No comments:
Post a Comment