khud ko kyun zism ka zindaani karen
fikr ko takht-e-sulemaani karen
der tak baith ke sochen khudko
aaj phir ghar mein biyaabani karen
apne kamre mein sajaayen aafaaq
jaisa-e-be-sar-0-saamaani karen
umar bhar sher kahen khoon thuuken
mutakhib raasta-e-nuqusani karen
khud ke liye mol len izhaar ka karz
dusron ke liye aasani karen
sher ke lab pe khamoshi likhen
harf-e-naa-e-gufta ko laa-saani karen
kimiyaakaari hai fan apna 'saaz'
aag ko baithe huye paani karein
No comments:
Post a Comment