likhna usse honton se, padhna lab-e-laalina[red lips]]
uss shokh ko likh ke shikha hai gazal jina
sab sang-e-malaamat ke rukh ek hi janib hain
zad[target] par hun magar main hi, main hi hun magar beena[having eyesight, wise]
paabasta sadaaon ki zanzir si hai aagay
aagay na ja iss had se tham ja .. dil-e-gamgina
talwar si chalti hai voh kaat hai saanson mein
kin khooni baguulon ki zad par hai magar mera seena
kab chadhta hua suraj dharti pe utar aaye
kab raah mein ruk jaaye yeh chalta hua ziina
No comments:
Post a Comment