nikala mujhko zannat se fareb-e-zindgi de kar.............. diya phir shaunq zannat ka ye hairani nahi jaati.......
Wednesday, March 18, 2009
akhiri tis azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko
yaad itni bhi sakht jaan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko
sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko
zakhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko
jalane wale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko
kitne majbuur ho gaye honge
ankahi baat muh pe laane ko
khul ke hansana to sab ko aata hai
log tarasate rahe ik bahane ko
reza reza bikhar gaya insaan
dil ki viraniyan jatane ko
hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko
haath kanton se kar liye zakhmi
phuul baalon main ek sajane ko
aas ki baat ho ki saans 'Ada'
ye Khilone hain tuut jane ko
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment