pathar ke jigar valon ghum mein wo ravani hai
khud raah bana lega bahta hua pani hai
phoolon mein ghazal rakhna ye raat ki rani hai
iss mein teri zulfon ki bhi rabt kahani hai
ek zahan pareshan mein wo phool sa chehra hai
pathar ki hifazat mein shishe ki javani hai
kyun chandni raton mein darya pe nahate ho
soye huye paani mein kya aag lagani hai
iss hausla-e-dil par hum ne bhi kafan pahna
hass kar koi poochega kya jaan ganvani hai
rone ka asar dil par reh reh ke badalta hai
aansu kabhi shisha hai aansu kabhi paani hai
ye shabnami lehja hai aahista gazal padhna
titli ki kahani hai phulon ki zubani hai
No comments:
Post a Comment