charaag apane thakan ki koi safaai na de
vo tiragi hai ke ab khwab tak dhikhaai na de
bahut sataate hain rishte jo toot jaate hain
khuda kisi ko bhi taufiiq-e-ashanai na de
main saari umr andheron me kaat sakta hoon
mere diyon ko magar raushani parayi na de
agar yahi teri duniya ka haal hai maalik
to meri qaid bhali hai mujhe rihaai na de
dua ye mangi hai sahame hue mu'arrik ne
ke ab qalam ho Khudaa surKh raushnai na de
No comments:
Post a Comment