Tuesday, March 17, 2009

dekho kanha par aa gaya hai mod apni baat ka
aankh jhapkne lagi pichla pahar hai raat ka
hum jindgi ke khel se uth kar kabhi bhaage nahi
yoon toh sada banta raha naksha hamai maat ka
dhadka kabhi dil bhi koi maana hamaray vaastay
honto pe jo aaye nahi,kya mol hai uss baat ka
chup ho ke bhi toh do ghari batho nazar ke samne
ruk ruk ke jab pani giray tab hai maza barsat ka
hargiz 'gulab' aise na woh lagte galay se aap ke
kuch aur hi jadoo hua iss dard ki sugaat ka

No comments:

Post a Comment

wel come