ek baar to is chehra-e-mujrim pe nazar kar
phir ham bhi kabhi laut ke aayenge na mar kar
qadmon se zameen kheench gayee, sar se gaye aflaak
kis ne ye kaha tha ke khilaaon main safar kar
ye lothra kuch kaam na aayega yahan par
jeena hai to hamdam kisi paththar ko jigar kar
Aye girya-e-paiham! tu dikhawa to nahin hai?
sachchai dikhani hai to us dil pe asar ka
pehchaan bhi mil jayegi ek din tujhe apni
pindaar ke mehon ko zara zair-o-zabar kar
Mitti main milana hai to mitti main mila de
aa jaye agar reham to paththar ko guhar kar
ho jayenge hal saare sawaal ek hi pal main
iss chashm-e-pareshan ko zara deeda-e-tar kar
ghar main koi pehchaan na payega saraab ab
ab tujhko ghaneemat hai ke sehra ko hi ghar kar
No comments:
Post a Comment