Wednesday, March 18, 2009

faraz ki shayyiri

Wo Aa Gaye Tou Qalab Ki Taaleef Ho Gai,
Rukhsat Huay Tou Phir Wohi Takleef Ho Gai,
Mehshar Main Aik Sawal Kiya Tha Kareem Nay,
Mujh Say Wahan Bhi Aap Ki Taareef Ho Gai,
Main Apnay Waqiaat Pay Hairaan Hon Aap Bhi,
Kya Ilam Ye Ghazal Kahaan Tasneef Ho Gai,
Asbaab-e-Bad Mizaaji Zaahid Na Poochiye,
Main Pee Raha Tha Aap Ko Takleef Ho Gai,
Daaman Churaa Kay Yaar Jo Rukhsat Hua 'Faraz',
Saaray Badan Say Jaan Ki Takhfeef Ho Gai

No comments:

Post a Comment

wel come