Paani mein aankh bhar kar laya ja sakta hai
Ab bhi jalta shaher bachaya ja sakta hai
Ek mohabbat aur woh bhi nakaam mohabbat
Lekin is se kaam chalaya jasakta hai
Dil per paani peenay aati hai umeedain
Is chashmey mein zehar milaya ja sakta hai
Mujh gumnaam se poochtey hain farhaad-o-majnoo
Ishq mein kitna naam kamaya jasakta hai
Yeh mehtaab ye raat ki peshaani k ghao
Aisa zakham to dil pe khaya ja sakta hai
Phata purana khuwaab hai mera phir bhi faraz
Is mein apna aap chupaya jasakta hai
No comments:
Post a Comment