hamari qismat mein kya likha hai
sitara muqfil se jaise mila hai
talash karti hain jisko ankhien
vo chehra jaane kahan chhupa hai
usse zamin ka pata ho kaise
bulandyon mein jo kho gaya hai
udasiyon ka ye dil hai mahur
na tum se shikwa na kuch gila hai
chupa raha hun mein zakhm-e-jaan ko
magar ye chehra to aaina hai
bikhar raha hun jo lamha lamha
tumhari chahat ka ye sila hai
bujha diya hai chiragh apna
mohabbaton mein ye inteha hai
No comments:
Post a Comment