kanto se gujar jaana sholo se nikal jaana
phoolo ki basti mein jaana toh sambhal jaana
din apne chirago ki maanid guzarte hai
bar subah ko bujh jaana har shaam jal jaana
bachchon hi si fitrat hai hum ahl_e_muhabbat ki
zid karna machal jaana phir khud hi sambhal jaana
vo shaks bhala mera kya saath nibhayega
mausam ki tarah jis ne sikha hai badal jaana !!!!
No comments:
Post a Comment