Wednesday, March 18, 2009

khayal ki shayyiri

baat rozana hi hoti hai khuda se meri
lekin iss daur mein kya hoga dua se meri !
kaun badlega, ab iss umar mein andaz-e-bayan !
vo bigadte hain, bigad jaayen bala se meri
teri pindar-e-inyaat[मेहरबानी का घुमंड] hi banaye rakh le
aur kuch ho ki na ho, chahe waffa se meri
innko behlaate guzar jayegi bakki shab bhi
jaag uthay hain kai khwab "sada" se meri
ye na socho ki mujhe cheen ke pa logay kabhi
waise jab chahe toh le jao raza se meri
apne akhlaak ka dava bhi nahi chhodega
mera munseef hai pashmaan[शर्मिंदा]saza se meri
vo jo samjha na kabhi meri waffaon ka khaloosh[पवित्रता]
vo bhi bejaar[रूठा] hai kis darza zaffa se meri
sar barhna[नंगा] hai kabhi, paanv kabhi hai baahar
yun ki dono ki shikyaat hai reeda se meri
kyun mujhe chaiin se jeene nahi deti aakhir
koi toh pooche 'khayal' ab ye anaa[अहम्] se meri !

No comments:

Post a Comment

wel come