main bhoolne lagi hun beetay dinon ki batein
utri hain zehan se sab woh raushni ki batein
jab naam se tumhare suraj nikal raha tha
jab tak tumhe na dekha din bhi na dhal raha tha
rehti thi khoi khoi main yaad mein tumhari
jalwon se tere ye dil pehlu badal raha tha
pa'uun teri hansi se mehakte gulon ki khushbu
har simt aarzu ka chashma ubal raha tha
ab yaad bhi karoon toh reh reh ke bhul jaaon
vo kaun tha sahar jo sath chal raha tha
No comments:
Post a Comment