Main samajh raha ho teri nazar mai chupa hua jo sawal hai
Tujhe doston ka khayal hai,mujhe dushmano ka malal hai
Tujh bakht se hai gila magar,Mujhe narsae ka gham nahi
Main hun ek aise muqam par,jahan hijr-e-mauj wisal hai
Yeh tere qadam jo tujhelei,meri simat aye kashan kashan
nahi mujhe mai koi hunar nahi,yeh teri talb ka kamal hai
Na tu apna tarz badal saki,na hamare khawab mai dhal saki
Khabhi ajnabee,khabhi aashna,wahi gardish-e-mah-o-saal hai
Wo MUHABBATTON ki kahanian,jo gubar ban ke bikhar gaye
Inhe raigan na samjh inhe se,jahan-e- gham ka jamal hai
AIk ajeeb sard si lehar hai,jo badan se rooh tak agaye
gubar-e-gham na nishat-e-dil,koi khawab hai na khayal hai....
No comments:
Post a Comment