maine dekha tha unn dino mein usse
jab vo khilte gulaab jaisa tha
usski aankhon se neend chiinti thi
usska lehja shrab jaisa tha
usski zulfon se beegti thi ghata
usska rukh mahtaab jaisa tha
log ladte thay khal-o-khad uss ke
vo adab ki ik sachi kitaab jaisa tha
rang bolte thay aankhon mein uss ke
maine dekha tha unn dino mein usse
jab vo hass hass ke baat karta tha
dil ke kheme mein raat karta tha ...
aankhein thi aaine uss ki
saare chehron mein intejhab tha vo
har ik se mil kar bhi ajnabi rehna
ik dariyanuma sehraab rehna
khwab ye hai ke ik haqeeqat tha vo
dil ki dharti pe aasman ki tarah se
surat-e-saaya-o-sahaab tha vo ...
magar ye der ki kahani hai
magar ye door ka afsaana hai
ab toh uss ke mere darmiyan
sadiyon bhara zamana hai
ab toh yun hai ke haal apna bhi
dasht-e-hijran ki shaam jaisa hai
kya khabar in dinon vo kaisa hai
maine dekha tha unn dino mein usse ...
No comments:
Post a Comment