maine toh aisa koi manzar kabhi dekha na tha
dil dhal jaata tha aur saaya ki lamba na tha
phir toh uss ke saamne jaise koi raasta na tha
jeetne wala kabhi yun haula haara na tha
log toh kehte thay lekin main bhi toh andhaa na tha
maine khud dekha hai mere dhad[body] pe bhi chehra na tha
rokna chaha tha maine vo bhi ruk jaata magar
ek jhonka tha hawa ka vo thehra na tha
kitne hi kachche ghade lehro ko yaad aane lage
sahilon ke honto par aisa kabhi nohaa na tha
No comments:
Post a Comment