daur-e-hayaat aayega qaatil qaza ke baad
hai ibtida hamari teri inteha ke baad
jeena voh kya ki dil mein na ho koi aarzu
baaqi hai mauut hi dil-e-be_mudaa ke baad
tujhse muqaable ki kise taab hai vale
mera lahu bhi khoob hai teri hina ke baad
lazzat hanoz maaida-e-ishq mein nahin
aata hai lutf-e-zurm-e-tamana, saza ke baad
qatl-e-husain asl mein marg-e-yaziid hai
islaam zinda hota hai karbala ke baad
No comments:
Post a Comment