mere liye toh harf-e dua ho gaya wo shakhs
saare dukhon ki jesse dawa ho gaya wo shakhs
main asmaan pe tha toh zameen ki kashesh tha woh
utra zameen par toh hawa ho gaya wo shakhs
Padta raha namaz samaj kar jisse aye dost
phir yoon hua ki mujhse kazaa ho gaya wo shakhs
No comments:
Post a Comment