meri aahon mein asar hai ki nahi dekh toh lun
ussko kuch meri khabar hai ki nahi dekh toh lun
woh jo tha baais-e-taskeen-e-gham-e-hizr[cause for alleviation of the sorrow of separation]
ab hui deeda-e-tar hai ki nahi dekh toh lun
woh toh aa jayenge sar-tapa[sar dard] tajali bankar
taab-e-nazaara magar hai ki nahi dekh toh lun
sham-e-gham roz-e-azal se rahi humraah mere
mere gham ki bhi sahar hai ki nahi dekh toh lun
No comments:
Post a Comment