Wednesday, March 18, 2009

moam ki tarha pighalte huye dekha ussko
ruut jo badli to badalte huye dekha ussko
vo jo kanton ko bhi narmi se chuaa karta tha
humne phoolon ko masalte huye dekha uss ko
jaane kis ghum ko chupane ki tamana hai usse
aaj har baat pe hanste huye dekha uss ko
jane wo mangne jaata hai duaon main kise
haath uthate hi sisakte huye dekha ussko

No comments:

Post a Comment

wel come