jala ke tu bhi agar aasra na de mujhko
ye khauff hai ke hawa phir bhujh na de mujhko
main iss khayal se mud mud ke dekhta hun usse
bichad ke bhi vo kahin phir sada na de mujhko
tere bagaiir bhi teri tarah main zinda rahu ?
ye hosla bhi, dua kar khuda na de mujh ko
bhar rahi hai mere dil mein pastiyon ki kashash
vo chand phir se zameen par gira na de mujh ko
main iss liye bhi usse khud manaunga 'mohsin'
ke mujhse roothne wala, bhula na de mujhko
No comments:
Post a Comment