Wednesday, March 18, 2009

naya ek rishta kyu paida kare,hum bichadna hai toh jhagda kyu kare
hum khamoshi se ada ho rasm-e-duri koi hangama barpa kyu kare
hum yeh kafi hai ke hum dushman nahi hai wafadari ka dava kyu kare
humwafa,ikhlaas,qurbani,muhabat ab in lafzo ka peecha kyu kare
hum suna de asmat-e-maryam ka kisaah?ab is baab ko wa kyu kare
hum zulekha se azizan baat yeh hai bhala ghate ka sauda kyu kare
hum hamari hi tamana kyu karo tum tumhari hi tamana kyu kare
hum kya tha ahad jab lamho mein humne toh sari umar aifa kyu kare
hum utha kar kyu na phenke saari cheeze fakat kamro mein thala kyu kare
hum jo ek nasal far-o-maya ko pohnche woh sarmaya ek khatta kyu kare
hum nahi duniya ko jab parwa hamari toh phir duniya ki parwa kyu kare
hum barharana hai sar-e-bazaar toh kya bhala andhoun se parda kyu kare
hum hai bashinde iss hi basti ke hum bhi so khud par bhi bharosa kyu kare
hum chaba kein kyu na khud hi apna dhancha tumhe raatib muhayeeya kyu kare
hum padi rehne do insaano ki lashien zamin ka bhojh halka kyu kare

No comments:

Post a Comment

wel come