isska rona nahin ki tumne kiya dil barbaad
isska gham hai ki bohat der mein barbaad kiya
meri nazar se na ho duur ek pal ke liye
tera wajood hai laazim meri ghazal ke liye
kahan se dhundh ke laoon chirag se woh badan
taras gayi hai nigahein kanwal kanwal ke liye
ki kaisa tajruba mujhko hua hai aaj ki raat
bacha ke dhadkane rakh li hain maine kal ke liye
kya be_muravat khalq hai sab jamaa hai bismil ke paas
tanha mera qatil raha koi nahin qatil ke paas
,qateel, zakhm sahoon aur muskurata rahun
bane hain daayire kya kya mere amal ke liye
No comments:
Post a Comment