khamoshi bol uthe, har nazar paigaam ho jaaye
ye sanaata agar had se badhe, kohraam ho jaaye
sitaare mashaalein le kar mujhe bhi dhuundne niklen
main rasta bhool jaaun, jangalon mein shaam ho jaaye
main vo aadam-gazida[आदमियों का डसा हुआ] hun jo tanhai ke sehra mein
khud apni chaap sun kar larza-ba-andaam ho jaaye
misaal aisii hai iss daur-e-khirad ke hoshmandon ki
na ho daaman mein zarra aur sahraa naam ho jaaye
'shakeb' apne taaruf ke liye ye baat kaafi hai
hum uss se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jaaye
No comments:
Post a Comment