tu iss qadar mujhe apne qareeb lagta hai
tujhe alag se jo sochuun, ajeeb lagta hai
jise na husn se matlab hai, na ishq se sarokaar
vo shaksh mujhko bahut badnaseeb lagta hai
huduud-e-zaat [boundaries] se bahar nikal ke dekh zara
na koi ghair, na koi raqeeb lagta hai
ye dosti, ye maraasin, ye chahtein, ye khuluus
kabhi kabhi ye sab kuch ajeeb lagta hai
ufaq pe duur chamkta hua koi tara
mujhe charagh-e-dayar[home]-e-habeeb lagta hai
na_jaane kab koi toofan aayega yaaron
buland mauj se sahil qareeb lagta hai
No comments:
Post a Comment