woh mujhse yeh nahi kehti
usse mujhse mohabat hai
magar woh aaj kal ek junoon ki zid mein rehti hai
ajab ek bekhudi hai, jo usse bechain rakhti hai
vo mujhse baat karti hai....
bahut hi aam si....mausham ki....logon ki....
mehaz duniya ki rasmo'n si
woh mujhse baat karne ke bahane dhondti hai unn hawalon se
samjhti hai main uss ki aam si baat ko
bus "Yunhi" samjhta hun
vo milti hai mujhe aksar bahano se
ke main guzri yahan se, socha baat hi kar lun
samjhti hai main uss ke inn bahano ko na janunga
kabhi jo phone karti hai
toh uss ki mohabat uss ke lehje se jhalkti hai
mujhe bechain karti hai
vo mera dhayan rakhti hai
meri har baat ko hi bin-kahe woh jaan leti hai
samjhti hai vo ye phir bhi....!!
uss ne khud ko chuppa rakha hai khud hi se
magar aksar....!!
woh khud anjane mein apna yeh parda chaak karti hai
ke jab meri bahut pehle kahi hui
har baar ko woh yaad rakhti hai
aur unnhi lafzoon ko mere samne duhra bhi deti hai
yun lagta hai ke....!!
uss ne meri kahi har baat ko yaad rakha hai
woh mujhse ye nahi kehti
ki uss ki khwahish ussko bahut bechain rakhti hai
ya shayad inn dino vo khud se bhi chupati hai
magar....!!
uss ki nighein aksar usse nakaam karti hai
ke saare jaam ulfat ke vo bhar bhar kar lutati hai
vo darti hai ki kahin kho na de mujhko
ke koi baat uss ki mujhko usse duur na kar de
vo mujhko sochti hai
jagti hai raat bhar vo bhi
magar sayad abhi ussko muhabat mein
khamoshi se hi jalna hai
ke vo jab tak parh nahi leti
ye ankhien jis mein ke uss ka naam likha hai
ke mere laho ki gardishon mein raqs karti chahten uss ki
vo jab tak pa nahi leti
samjh nahin leti, jab tak....!!
ke main bhi gamzan hun
khamoshi se uss ke raaste par
main bhi jagta hun....sochta hun raat bhar uss ko
magar usse nahin kehta....!!!
.
..
...
....
"mujhe usse muhabat hai"
No comments:
Post a Comment