yeh duniya ek khwaabon ki zamiin hai
yahan sab kuch hai aur kuch bhi nahin hai
tere chhune se pehle vehma tha
mujhe ab apne hone ka yaqiin tha
jo socho toh sulag uthti hain saansein
tera ehsaas kitna aatishiin hai
mohaajir ban gaye hain mere aansuu
na aanchal hai na koi aastiin hai
jagah duun kaise tujhko apne dil mein
yahan toh tera gam masnad-nashiin hai
mere chehre pe koi jhuk raha hai
yeh lamha toh khuda jaisa hasiin hai
No comments:
Post a Comment