baaten toh hazaaron haim milon bhi toh kahun kya
ye soch raha hun ki usse khat mein likhun kya
awargi-e-shauq se sadkon pe nahin hun
halaat se majboor hun main aur karun kya
karte thay bohat saaz aur awaaz ki baaten
ab ilm hua humko ki hai soz-e-duroon kya
marna hai toh suqraat ki maanind piyun zahar
inn rang badalte huye chehre pe marun kya
fitrat bhi hai bebaak sadaagat ka nasha bhi
har baat pe khaamosh rahun, kuch na kahun kya
jis ghar mein na ho taaza hawaon ka guzar bhi
uss ghar ki fasiilon mein bhala qaid rahun kya
murjha hi gaya dil ka kanwal dhoop mein aarif
khusbu ki tarah iss ke khayaalon mein basun kya
No comments:
Post a Comment