zamiin se khala ki taraf jaaunga
vahan se khuda ki taraf jaaunga
bukhara-o-bagdaad-o-basra ke baad
kisi karbala ki taraf jaaunga
chaman se bulaava bohat hai magar
main dasht-e-bala ki taraf jaaunga
chamakta damakta nagar chhod kar
phir uss be-waffa ki taraf jaaunga
rafaaqaton ki raahon mein kuch bhi nahin
yahan se jafa ki taraf jaaunga
agar main na aagaz mein marr gaya
toh phir inteha ki taraf jaaunga
No comments:
Post a Comment