karu na yaad magar kis tarah bhulaon isse
ghazal bahana karu aur gungunaon usse
vo khaar khaar hai shaakh-e-gulab ki maanind
main zakhm zakhm hun, phir bhi gale lagaaon usse
ye log tazkire karte hai apne pyaron ke
main kaise baat karu aur kahan se laaon usse
jo humsafar sar-e-manzil bichad raha hai 'faraz'
azab nahin hai, agar yaad bhi na aaon usse.....
ahmed faraz ahmed
No comments:
Post a Comment