usska apna hi karishma hai fasoon hai, yun hai
yun toh kehne ko sabhi kehte hain, yun hai, yun hai
jaise koi dard-e-dil paar ho stadah kab se
ek saaya na daroon hai na baroon hai, yun hai
tum ne dekhi hi nahin dast-e-waffa ki tasveer
nauk-e-har khaar pe ik qatra-e-khuun hai, yun hai
tum muhbbat main kahan sood-o-zyaan le aaye
ishq ka naam khirad hai na junoon hai, yun hai
ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab toh dariya mein talatum na sukoon hai, yun hai
naseha tujhko khabar kya ke mohbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai, yun hai
shayari taaza zamanon ki hai maimaar 'faraz'
ye bhi ik silsile-e-kun-fa yakoon hai, yun hai
wah wah
ReplyDelete